AQWAL OF IMAM JAFFER SADIQ A.S

                   01


"IMAM JAFFAR SADIQ(as) Nay Lafz "ALLAH" Ki Tafseer May Farmaya"

Lafz "ALLAH" May "ALIF" Ishara Hay

Is Cheez Ki Taraf k ALLAH Ki

Naimatain Is Ki Mukhloq Ko Humari WILAYAT k Sabab Mili Hain

Or

"LA'AM" ka Ishara ALLAH Nay Humari WILAYAT Ko Apnay Bando Per Wajib Or Lazim Qarar Diya Hay

Or

"hA" Ka Ishara Is Baat Ki Taraf Hay

k Jis Nay MUHAMMAD.WA.AL.E.MUHAMMAD(as) Ki Mukhalfat Ki Wo Zaleel Or Roswa Huwa"

Book Ref:

(Manaqib.e.Ahlaibait(as)

Jld2 PG#59)



                   02


   

"Aik Nusrani Nay IMAM JAFFAR SADIQ(as) Say "Aa'zaa" K Baray May Sawal Kiya:

Ap(as) Nay Farmaya Suno ALLAH(jj) Nay Insan K Jism May

12 Jor

246 Hadiyain

360 Rugain Paida Ki Hain

Rugain Poray Jism Ko Sairab Karti Rahti Hain,

Hadiyain In Rugo Ko Samhalay Howay Hain

Or

Gosht In Hadiyou Ko Samhalay Howay Hain Phr Phathay Is Gosht Ko Samhaly Howay Hain,

ALLAH(jj) Nay 2 Hatho May 82 Hadiyain,

Paon May 43 Hadiyain Paida Ki Hain,

Phr Re'irh May 18 Girha'an Or Os K Har Taraf 9 Pusliyain Hain,

Phr Gardan May 8, Sir May 36, Moon 28(20 Saal K Baad 32)

Book Ref:

(Bihar.UL.Anwar

Jld8 PG#243)



                    03

  

Hazrat Imam JAFER-e-SADIQ (a.s) nay fermaya:

"Apna ilm likho aur apnay bhaiyon k dermian phaylao,

mout k waqt apni aulad k liay kitabein chhoRo,

kyun k aisa zamana aey ga jub her jaga fitna-o-fasad ki lapait mein ho gi aur loug sirf aap ki kitabon say manoos hon gay.

(yani un ka Imam (a.s) parda-e-ghaibat mein rahay ga aur loug guzishta ulma ki kutub say hidayat-o-rahnumai hasil krein gay)"

Kashf-ul-Mehja pg#35

Manaqib-e-Ahlebayt vol#3 pg#22



                    04



Imam Jafar-e-Sadiq(A.s) Ki Shiyou Ko Nasihatein

*-

Aey humare shiyou! kar-e-khair me sub paish paish raho aur aeyse puttay bun jao jin me kaante na hon,logo ko apne rub ki taraf dawat do,logo ko islam mein dakhil karo,islam se kharij na karo_

(Usool-e-kafi,J 2,Pg 636)



                   05


  

Husan-e-Ikhlaaq Gunaahon ko is tarha pighla daita hai,

jaisey Souraj baraf ko pighla daita hai,

IMAM JAFFAR SADIQ A.s

REF;Mezaan-ul-Hikmat

Jild:3, Page: 291



                    06

   

Farman iMÄM JÄFFÄR SADIQ<a's>

"jo shakhs Dua~e~ahad continuous 40 din Namaz-e- fajr k bad parhe ga

wo IMAM ZAMANA <aj'frj> k Lashkar main shamil hoga. Or agr wo zahoor se pehle mar gya to khuda usko Qabr se uthae ga or Lashkar main shamil karega"



                    07

  

Dekho Aur Ghor Karo Jo Koi Bhe Tumharay Deen K Liay Mufeed Na Ho Is Ki Parwa Na Karo Aur Na-hi Is Ki Hamnasheni Ki Khohish Karo Is Liay K Parwardegar-E-Aalam K Ilawa Her Cheez Fana Honi Wali Hay Aur Is Ka Anjam Bohat Bura Hay

Imam Jaffer-E-Sadiq a.s

Ref :Book Dost Aur Dosti & Ayatullah Hussain Fazlullah



                    08



Agr Nmaaz prhnay se Tum Gunah or Buray kaamo se baaz a jao

to smjho k Tumhari Nmaz qabul ho rhi ha. I

mam Jaffr Sadiq A.S



                    09




"DUNIYA main log BAAP, DADA k zariey se mutarif hote hai, 0r aakhriat main Aa'imal k zariey se pehchane jaenge" =IMAM SADIQ AS=

Ref:14 sitare



                    10



IMAM JAFFAR-E-SADIQ<a's> ka dor tha

Momeneen ka Qatal-e-aam tha

kuch log IMAM<a's> k pas aaye or

kaha Mola hm apne ghr se niklte hain

To hamen ye maloom nhi hota k hm sahi salamat apne ghar WAPAS lot sakenge ya nhi

MOLA <a's> hamare ahl-o-ayal hmare liye fikar mund rehte hain

AAP <a's> ne frmaya

Ghar se niklte waqt hmare JADD-e-AMJAD ki ziarat

<(ZIARAT-E- WARSA)>

prh lia kro,

Ghar se niklne k bad wapsi tk hamari zamanat me raho ge



                 11
.


Hum AHL-e Bait a.s Ki Muhabbat

Momino K Gunaho'n Ko is tarah Girati hy

Jis tarah Shadeed Aandhi Se Darakht k Patay Girtay hen

iMAM SADiQ a.s

Payam-e Shifa_#122



                12


"Fitra Nikaalna us par Wajib hota hay

jis k pas Apny aur Apny Ahl o Ayaal k lye Saal bhar ka Kharcha mojod ho".

*_MOLA IMAM JAFFAR SADIQ A.S_*

"

Ref=Wasail ush Shiajild#.6

page#197

bab# 2hadis#7



                13



Tumhary AmaaL Hr Subha Ko Paigamber Akram(s.a.w.w) Or Aema Tahaireen K Samny Paish Hotay Hain,

Pas Tum Bad AmaLi Na Kia Kro

Paigamber Akram(s.a.w.w) Ko Tmhari Bad AmaLion Se Ranj Hota Hai,

Un Ko Azarda Mt Kia Kro BaL K Un Ko Khush Rakha Karo.

Imam Jafar SadiQ(a.s)

Book Ref:

AQwaL.E.Masomen(a.s)



                 14



Har Dard Ki Ek Dawa Hai Or Gunaha Ki Dawa

Istagfar Hai

Har Rozz 100 Martaba Istagfar Karny Se 700 Gunaha Maaf Ho Jatay Hain

IMAM SADIQ A.S

Aqwale Masoomeen

PG#58



                15




IMAM JAFFAR SADIQ

A.S Ne Farmaya.

Jo koi apny majbor momin bhai ki sakht preshani main madad kry ga,

icka dokh htaey ga

aur

ic ki zarorat pori krny ki koshsh kryga.

KHODA ic saloq k eyvaz ic k liye 72 neymtain vajib frmaey GA

in main say 1 icy donya main bakhsh DAY GA

jic ki badolat icka donyavi karobar sanvr aur sodhar jaeyga

aur

baqi 71 rehmtain qyamat main ic k khof aur sakhtiyon k liye jma RAKHY GA.

Gonahaney kabera

Jild#2

P#59

No comments:

Post a Comment